इंसान के लिए भी इंसान इंसान नहीं रहा
सदियों की हमारी सभ्यता का हाल अब यही रहा
इंसान के लिए भी इंसान इंसान नहीं रहा
-----------------------------------------------------------------
Sadiyon ki hamari sabhyata ka haal ab yahi raha
Insaan ke liye bhi insaan insaan nahin raha
Neta kahke sar pe jise bithaye the
Satta ke nashe me tan ke baitha hai
Jise saumpa tha hifazat ka jimma
Wohi lootera ban ke baitha hai
Hakeem, jise mana tha khuda
Kar raha jism ka sauda hai
Shiksha ka jo mandir tha pahle
Woh vyapariyon ka adda hai
Khudgarzi me dusron ka ab khayal nahin raha
Insaan ke liye bhi insaan insaan nahin raha
Sab faryadi hai to kanoon kaun tod raha hai
Koi jurm kar raha hai to koi jurm hote dekh raha hai
Beti ko kisi ka beta chhed raha hai
To beta kisi ki beti ko chhed raha hai
Apne aapko bachane ke firaq me
Har koi dusre ki taraf ishara kar raha hai
Koi aag laga ke tamasha dekh raha hai
To koi usi aag me haath sek raha hai
Khud ke gireban me jhankne ka majal nahin raha
Insaan ke liye bhi insaan insaan nahin raha
Sadiyon ki hamari sabhyata ka haal ab yahi raha
Insaan ke liye bhi insaan insaan nahin raha
GoodOne Buddy...
ReplyDeleteMehul
Thank you, dude.
ReplyDelete