समय का सर्प पल रहा, हर पल को यह निगल रहा
जो बर्फ था पिघल रहा है, देख ले
है आज ना जो कल रहा, रुकेगा जो भी चल रहा
जो शांत था मचल रहा है, देख ले
जो खोया था वह खल रहा, आशा ना था जो मिल रहा
यह वर्तमान जल रहा है, देख ले
पाने में जो सरल रहा, रहने में वह बिफल रहा
सूरज तो रोज़ ढल रहा है, देख ले
बदलाव ही प्रबल रहा, यह आज है यह कल रहा
ठहरे ना जो भी टल रहा है, देख ले
यह सृष्टि है बदल रहा, यह पल भी हाथ मल रहा
फिर खुद को क्यूँ तू छल रहा है, देख ले
-----------------------------------------------------------
Samay ka sarp pal raha, har pal ko yah nigal raha
Jo barf tha pighal raha hai, dekh le
Hai aaj na jo kal raha, rukega to bhi chal raha
Jo shant tha machal raha hai, dekh le
Jo khoya tha woh khal raha, asha na tha jo mil raha
Yah vartamaan jal raha hai, dekh le
Pane mein jo saral raha, rahne mein woh bifal raha
Suraj to roz dhal raha hai, dekh le
Badlav hi prabal raha, yah aaj hai yah kal raha
Thahre na jo bhi tal raha hai, dekh le
Yah srushti hai badal raha, yah pal bhi haath mal raha
Phir khud ko kyun tu chhal raha hai, dekh le

No comments:
Post a Comment